How to Verify Your Website to Pinterest?

Hii Friends, aaj main apko is article ke jariye bataunga ki How to Verify Your Website to Pinterest? Aap me se kaiyo ko pata nahi hoga ki akhir Website ko Pinterest se verify kaise kare?

Pinterest Kya Hai?

Dosto jaisa ki aap jaante hai ki Pinterest kya hai. lekin general information ke liye main aapko bata deta hu ki Pinterest ek Image and Video sharing platform hai.

Content on Pinterest Account:

Pinterest me hum apne kisi bhi Ideas ko share kar sakte hai, Photo Aur Video ke jariye. Pinterest ek Social Network hai. Isme hum apni I’D Bana sakte hai.

Pinterest Auto Publish My Website Post?

Yes, Ager aap Pinterest per apni Website ko verify karvate ho to apko bhas ek Setting karni padegi. Vo mai apko niche bataunga.

Pinterest Sabhi Jagah kaam karta hai?

Ofcourse, Pinterest her Website her hosting per kaam karta hai. Apko sirf Pinterest Account ko Ek baar apni Website se verify karna hoga.

Chaliye to Jaan lete hai ki kaise Pinterest ko Verify Karte hai Website ko.

Verify Website to Pinterest:

Pinterest me apni Website ko verify karne se pahle apko ek Account banana padega. Uske Baad Us Account ko Business Account me Upgrade karna hoga.

Pinterest ko Business Account me Upgrade karne ke baad apko Settings me jaana hai. Waha per left side me apko ek Section Najar ayega usme ek option hoga, Claim.

Claim per apko click karna hoga. usme apko 4-5 Option milenge. Claim Section me apko Website per click karna hai. Abhi ek new Popup open hoga usme apko 3 Method milenge.

  1. HTML Tag Code Method.
  2. Download File and upload root.
  3. By Domain DNS

In 3 Mai se aap koi sa bhi choose kar sakte hai. Mai apko Reccomend karunga ki aap apni Website ko HTML Tag ke jariye verify kare.

HTML Tag Method Bahut easy hai. Apko code copy karna hai. Us code ko Meta Header Ya <head> ke niche past karna hai, Aur Save kar dena hai.

Ab apko Pinterest me jaana hai, aur next per click karna hai. Next page me Pinterest apse apni Website ka url lene ke liye bolega to apko apni website ka URL Add karna hai.

URL add karne ke baad mai apko Claim per click karna hai. Ab Apki Website Verify ho chuki hai Pinterest per.

Pinterest Website Claim Option Not Showing in Mobile:

Yadi Apke Mobile me ye nahi ho raha ya Website Claim karne ka Option nahi aa rha hai to apko kya karna hai.

Sabse pahle to apko apna Chrome browser open karna hai, uska desktop mode on karan hai. Apne Mobile ko rotate karna hai. uske baad me apko Pinterest Website Login ya access karna hai.

Aisa karne se Pinterest ka Official desktop View open ho jayega. yadi aap desktop on nahi karoge to apke me Website Claim ka Option nahi aayega.

Summary:

Dekha Friends, humne bade hi aaram se apni Website ko kaise verify kiya hai Pinterest per.

I hope ki Apko How to Verify Your Website to Pinterest? Article Samajh me aya hoga. Abi bhi ager apke man me koi question hai to aap hume Comment me puch sakte hai. ya aap official spom website ke madad se vi pinterest ko verify karwa sakete hai.